Friday 5 April 2013

Posted by Hira Shaheen On 10:10
Raat k khamoshi main..
Din ki roshni main..
Daryaon ki tughyani main..
Chand ki chandni main..

Mousmoun ki tabdeeli main..
Parindoun ki khush biyaani main..
Aik zaat ki jhalak nazar ati hy..
Aik zaat ki hamad sunati hy..
Wo zaat hy bari khass c..
Wo zaat hy bri aam c..
Wo zaaty hy khaliq e kainaat ki..
Han wo zaat bari hy KHUDA ki..

2 comments :