Raigistan ki tapti rait iske lye sirf zaron sy barh kr kuch na thi.
Iske andar ki aag usko jalanay k lye kafi thi. Rait k teelay ki chawon bi usko mayoosi k gehray andhery mein dhakail rahi thi. Aj wo akela tha, pani k qatron ki trah jo sath ho kr bhi koson door chalay jatay hn, us waqt ki trah jo kisi ka nhi hota, us chand ki trah jo masoom chehron ko apni roshni sey khush to kr skta lekin apna ghum byan nhi kr skta. Wo aj nadam tha apni halat pr, qismt k farishton ne usy tunhai ki jhanum mein marne k lye dhakail dia tha. Wo kuch nahi kr skta tha..iskey anay ka rasta tha na janay ka..iskey kareeb iskey raqeeb thy jo isey mehbob k samnay ruswa kr gae thy..aj wo akela tha...tanha tha..

0 comments:
Post a Comment